Dosto hamare PM Narendra modi ji digital india ko badava de rahe hai. aur digital india ki pahal me ek aur nayi cheej ko launch kiya hua jiska naam hai mAdhaar app. pahle hame apne adhaar card ko saath lekar chalna padta tha. lekin ab aapko apne adhaar card ko sath le jaane ki jarurat nahi hai kyuki modi ji digital india ki taraf ek aur kadam badaya hai aur ham logo ki suvidha ke liye khaas ek app ko launch kiya hua hai jiska naam hai mAdhaar app. 

Aaj kal market me android phone kafi saste aa rahe hai isliye android hamari pahuch me sabse jyada hai. isliye modi ji ne android me logo ka jyada interest dekhte hue ye app kewal android platform me hi launch ki hai. ise kewal android user hi istemal kar skte hai. agar aapke phone koi aur IOS hai tof fir aap iska istemal nahi kar skte hai.





Dosto aaj ki post me mai aapko batane wala hu. ki mAdhaar app kya hai , ye kaise kaam karta hai, isko kaise use karte hai, iski kya khasiyat hai, aur bhi bohat si baate hai jo mAdhaar app se judi hui hai. aaj ki post me mai aapko iski poori jaankari dene wala hu, umeed karta hu ki ye jankari aapko jarur pasand aayegi. 

isse pahle bhi sarkar ne adhaar se related e k aur pahal ki thi. jisme sarkar ne adhar payment ko launch kiya tha. ab aapko payment karte wqt kewal adhar card chahiye hota tha iski jaankari mai apne pichle posts me de chuka hoon. agar aapne abhi tak is post ko nahi read kiya hai toh aap yaha par click karke is post ko read kar skte hai.


mAdhaar App Kya Hai...?

Dosto sabse pahle mai aapko batata hu ki mAdhaar app kya hai..?
Dosto agar apke phone me mAdhaar app  hai to ab aapko kahi bhi adhar card ko sath le jaane ki jarurat nahi bas aapko android mobile hi aapka adhar card ho jayega. is app ke jariye hi aap adhar card ko kahi bhi istemal kar skte hai 

mAdhaar App Ke Importents Points 


  • mAdhaar App se aap apni profile ko kabhi bhi update kar skte hai. jaise ki Name, Address, DOB, ...ETC
  • Isko ko use karne ke liye aapke Adhaar Card ka Mobile No UIDAI Se verify hona
  • Istant TOTP Generate kar skte hai.
  • Ye Only Android OS me hi available hai
  • Isme Aapko QR Code ka bhi features milega
  • Aur bhi bohat se features hai jo aapko mAdhaar app use karne ke baad hi pata chalege.





mAdhar App Ke Fayde


  • Ab apko adhaar card sath le jane ki jarurat nahi hai.
  • Instant OTP Generation
  • Password Protected Ekyc data
  • Biomatric Locking/Unlocking Features
  • More

Last Word For You


Dosto sarkar ki ye pahal bahut hi jyada acchi hai. isse logo ko kafi fayda milne wala hai. sarkar ek ke bad ek digital india ki taraf apna kadam badate jaa rahi hai. hum bhi sarkar ke is kadam ka poora support karte hai aur digital india ki badava dete hai.
Umeed karta hu ye chhota article aapko pasand aaya hoga. agar pasand aaya ho toh ise apne dosto ke sath share karna na bhulein.