Dosto aaj ki post me ham aapko bata rhe hai ki hum OTG Cable se kya kya connect kar skte hai. OTG ka naam to aapne suna hi hoga. lekin abhi tak aapko iske bare me puri jankari nahi hogi. to aaj hum aapko yahi batane wale hai. Dosto abhi tak aap yahi jante hoge ki OTG cable se hum only Card Reader ya Fir Pen Drive hi connect skte hai. toh aap galat soch rhe hai.  OTG ke jariye bahut se devices ko connect kar skte hai.

OTG cable aapke android phone ko super Android phone me convert kar deti hai.  Aapka Android Phone super Android phone ho jata hai. To Sabse Pahle hum ye jante hai OTG hota kya hai.



OTG KYA HAI..?


Sabse pahle hum aapko btate hai OTG KA Full Form

OTG = ON THE GO

OTG Ek Aisi Cheej hoti hai. jiski madad se ham External Devices apne Android phone se connect kar skte hai. OTG Ek Normal si cable hoti hai. aap market se easily purchase kar skte hai.



OTG Cable Se Kya Kya Connect Kar Sakte Hai..?


OTG CABLE ki help se hum ek nahi balki kai devices connect kar skte hai. lekin iske liye aapke pas OTG Supportable Android phone bhi hona chahiye. kyuki sabhi Android phone otg support nahi karte hai. iske liye aapke pas accha smartphone hona chahiye.






1. Pendrive & Card Readers


Agar aapki pendrive me kuch important data hai. aur aapke pas computer pc nahi hai aur aapko personal data ki jyada jarurat hai toh fir aap OTG ka istemal kar skte hai. otg ke jariye aap apna data mobile me bhi access kar payege. jaise hi aap OTG Cable me Pendrive ya Car Reader lagayege vese hi Android File Explore Open hoga aur aao Pendrive ki Files Ko Access kar payege.



2. USB FAN


Garmiyo me aap OTG SE USB FAN bhi connect kar skte hai. aur halki fuli hava ka maza le skte hai. USB Fan Market Se Easily Le skte hai. Lekin Agar USB fan ka use karte hai toh aapke phone ki battery jaldi down ho jati hai.



3. USB MOUSE


USB Mouse ki jaruat hame us waqt padti hai jab hamare phone ka touch kam karna band kar deta hai ya fir acche se kam nahi karta hai. aisi condition me aap OTG ke jariye Mouse ko connect kar skte hai. Mouse connect karne ke baad aapko pc ki tarah Android screen me cursor dikhai dega.



4. USB Game Pad


Agar aap gaming ka jyada shauk rkhte hai toh fir aapko game pad connect karke hi game khelna chahiye. game pad ko bhi aap connect kar skte hai.






5. USB FLASH LIGHT


Agar aapke phone me Front Flash Light nahi hai toh aap otg se front falsh light bhi connect karke night me bhi selfie le skte hai.

Ummeed karta hoon ye chhota article aapko pasand aaya hai. aapne man me jitne bhi otg se related questions hoge unke jawab aapko yaha par mil chuke hoge ki otg se ham kaun kaun se devices connect kar skte hai. ab chahe Mouse ho ya fir pendrive aap badi hi easily apne android phone se sab kuch connect kar skte hai.

Agar ye post aapko pasand aayi ho toh ise apne friends ke sath bi share kare jisse unko bhi otg ki poori jankari mil ske. ab milta hu naye aur intersting se article me tab tak ke liye Bye