Kya dosto aksar ham jab bhi koi new mobile ya laptop lene jate hai toh sabse pahle uski ram ko check karte hai ya fir ram ke bare me shop wale se puchte hai. hamara sara focus ram me hi rahta hai. RAM ka matlab aap abhi tak yahi jante hai ki jitni jyada ram hogi utna hamare computer ya mobile ki speed acchi hogi. ye matlb simple language me hai. toh dosto aaj ki post me aap samjh jaoge ki ram asal me hoti kya hai.


RAM ko ham Random Acces Memory kahte hai. Ram hamare computer ya laptop ke liye bohat jaruri hoti hai. samjo RAM computer ka ek aham hissa hai. agar hamare computer me ram na hoti toh samjo kuch bhi na hota. Kuch log ye samjte hai ki ram hamare computer ya laptop ki speed jyada karne ke liye hoti hai. lekin abhi bhi logo ko isse jyada nahi pata hai ki asal me ram ka kaam kya hota hai. toh maine socha isi ke bare me ek post likh di jaye is post se apke sare doubts clear ho jayege aur aap ram ka sahi matlab samjh jayege.


mere hisab se ye bohat hi accha topic hai. ise padhkar aapko bhi kafi maza aayega aur aap computer ya mobile ka ek bohat aham hissa ke bare me bhi seekh jayege. to dosto ram se pahle ham computer ki memory ke bare me jante hai.

www.docoss.com : Docoss X1 Online Registration Online Booking And How To Buy Docoss X1 Mobile 

Linkshrink se 15000 Permonth Kaise Kamaye Hindi Me jane

Hamare Computer Me 2 Tarah Ki Memory Hoti Hai

1- pahli memory wo hoti hai jisme ham apna data ko store karte hai. computer ke pahli memory ko ROM kahte hai rom ka matb hai Read Only Memory. jab hamara computer ya laptop working me ya power me nahi hota hai tab ye sara data store karke rakhti hai. jaise ki pendrive hard disk in memories ko rom kahte hai. 

2- RAM ko ham dusri memory kahte hai. agar ham computer ko shut down kar dete hai toh shut down karte hi iska kaam khatm ho jata hai. ye tabhi tak kaam karti hai jab tak ham computer me work karte hai. dusri memory ko ham RAM kahte hai.

InstaCare: Reliance Me 500 Mb Free Data Kaise Paye



mobile ya computer me ram ke alawa ek aur importent cheej hoti hai jise ham processer kahte hai. jaise aapne suna hoga dual core quad core octa core etc. processor hamare Mind ki tarah hota hai. jaise hamara dimag kaam karta hai vese processor computer ka dimag hota hai. agar computer me processor na ho toh ham computer me kuch bhi nahi kar skte hai. processor ki vajah se ham computer me kuch bhi chala skte hai. lekin haan processor sirf unhi cheejo ko control karta hai jo hamari RAM me hoti hai.
\

aapne dekha hoga hai ki hamare computer ya mobile ki RAM kam hoti hai aur internal memory kai guna jyada hoti hai. agar computer me dekha jaye toh hamare computer ki ram 2 Gb hai aur hard disk 500 gb ki hai.
Agar aap computer me koi bhi software install karte ho toh wo software aapko harddisk me install hoga aur hard disk se hi ram me transfer hota hai. tabhi ham software ko work me la skte hai. 

RAM Kaise Kaam Karti Hai?

dosto mai apko RAM aur Internal Memory ke bare me example dekar samjata hu ki ram kaise kam karti hai.

EXAMPLE-
a) abhi aapka mobile off hai aur apka jitna bhi data hai wo aapki internal memory me save hai.

b) ab aapne mobile ko on kiya aur ab apki RAM me power aa gaya hai aur ram kam suru ho gaya hai

c) ab aap kuch aaplication ko kholte hai. agar apke phone ki ram kam hai toh 5-6 aplication open karte hi ram ful ho jayegi.

d) 5-6 aplication ke baad bhi agar aap koi app use karte hai toh RAM jagah banane ke liye purane app ko internal me bhej degi.

e) toh dosto aap samajh chuke hoge ki ram kaise kam karti hai. ram app ko chlane ke liye dusre app ko internal me bhej deti hai.

toh dosto jitni jyaada hamare mobile ya computer ki ram hogi utna accha hi hame performence milega

Last Word For You
dosto aaj ki post me maine apko bataya ki ram kya hoti hai aur ye kaise kaam karti hai. agar aapke man me koi sawal ho to aap comments ke jariye hamse puch skte hai aur agar apko post acchi lagi ho toh apne dosto ke sath jarur share kare