Blog Kaha Par Banye?
aaj kal blog banane ke liye sabse jyada 2 platform hi popular hai. ek toh Wordpress aur doosra blogger. blogger toh apko pahle se hi pta ye google ki service hai aur ye bilkul free hai. Wordpress ek paid service hai. Jo blogging start karna chahte hai. unko mai yahi advise dena chahta hu ki wo apna platform blogger hi select kare. kyoki ye free bhi hai aur easy bhi. ek khaas baat aur hai ye google ki service hai isliye ye SEO friendly bhi hai.
Must Read
Youtube Ke 5 Mazedar Secrets
Memory Card Ko Recover Kaise Kare
Adsense Kya Hota Hai?
Adsense ek google ki service hai. ye ek aapko ads code deti hai. jo aap apni site me lagate ho. jisse ads show hote hai. Google Adsense agar apke ads par click hote hai toh apko pay karti hai. lekin adsense se paise kamane ke liye sabse pahle apke pas ek website honi chahiye. jisme accha traffic ho.
aap adsense ke code kahi par bhi laga sakte ho jaha par aap code add karoge waha par ads show hoga. jab koi bhi visitor apke ads par click karega toh apki income hogi agar apke blog me accha traffic hai toh apki income acchi hogi.
Blog Banane Ke Baad Kab Kare Adsense Ke Liye Apply
Ab aate hai apne main point par ki adsense ke liye apply kab kare. kuch baate mai apko batane ja raha hu agar aap unhe sahi se follow karoge toh apka adsense acount block nahi hoga.
Traffic- Agar apki site me per day 300 se kam page view hote hai, toh apka adsense account block ho sakta hai.
Content- Apke blog me post ke word kam se kam 500-1000 hone chahiye jisse visitor apki site me ruke aur aur apki sites me kam se kam 10 posts honi chahiye.
Copy Right Content- aapki site me kahi se copy kiya hua article nahi hona chahiye isse apka adsense account agar approve bhi ho gaya toh jaldi hi block ho jayega aur search engine me bhi apki site nahi dikegi.
SEO - aapki post me words post se related hi hona chahiya aur koi faltu words ka use na kare, isse apki post serch engine me jyada show hogi.
Blog Design - Aap apne blog ko acchi tarah se design kare jisse koi bhi visitor fir aana pasand kare. aap apni blog me simple design hi rakhe kyoki vistor simple design jyad pasand karta hai.
Sitemap- aap site map banakr google aur bing webmaster me submit kare isse adsense ko apki site ki jankari pta karna aasan ho jata hai. aur apke adsense account block hone ke chance kam hota hai.
Supportmeindia.com
Dainikjagran.com
agar aap in bato ka dhyan rakenge toh apka adsense account jaldi approve ho jayega
agar post acchi lage toh jyada se jyad share kare. share karene me 30 secend lagege.
thank you
agar aap in bato ka dhyan rakenge toh apka adsense account jaldi approve ho jayega
agar post acchi lage toh jyada se jyad share kare. share karene me 30 secend lagege.
thank you
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे