Jab se android phones market me aaye hai tab se log computer/laptop ki jagah android phone ka use karne lage hai. aaj ke jamane me ab wo samay nahi raha ki call ya sms ko karke phone rakh de.
aaj kal jab se smart phone market me aaye hai. toh log phone se chatting, video calling, email etc. aur na jane kya kya apne phone se karte hai. agar jyadatar use phone ka hi karte hai. toh personal ducuments apne memory card me hi rakhte hai. toh hamko memory card ko surakshit rakhna chahiye. aksar hamse galti se memory format ho gayi. toh hmari importent photos delete ho jati hai aur hamko kafi pareshaniya uthani padti hai. lekin ab aisa nahi hoga aaj mai apko photo recovery ke aise tools bataunga jisse aaap delete picture ko badi aasani se recover kar sakte hai.

Data Safe Kaise Rakhen (डाटा को सुरक्षित कैसे करे)
recover karne se pahle agar aap ye tarike apnayege toh apko future me problem nahi hogi. agar ye tarike karne se permanent delete huye data ko aap fir se pa payenge. toh mai apko bta deta hu ki data surkshit kaise kare. data ko safe karne ka sabse best tarika hai Ki aap Apne Video Aur Photos backup cloud storage me le.ye karna bohat hi aasan hai. agar apke paas android mobile phone hai toh apko ek application download karni padegi. Aap Play Store se "Google Photo Application" dowload kar le.isme aap apne photo aur videos ka backup photo library me le sakte ho. aapko Google Drive 15 GB ka free space milta hai. wo isi me add kar diya jayega. toh sabse accha tarika hai yahi hai  ki aap cloud storage me phle backup le le uske baad recovery karne ki soche.



Kaise Kare Delete Files Ko Recover( कैसे करे डिलीट फाइल्स को रिकवर)
kabhi galti se agar apki memory card me virus aa jata hai. aur sari files photos delete karni padti hai. toh aapko data recovery software ki jaroorata padti hai. vaise toh internet par aapko na jane ki software mil jayenge lekin sabhi softtware acchi performans nahi dete hai. kuch software hi hote hai. jo acche se data recovery karte hai.

Data Recover Ka Free Me Software Kaha Se Dowload Kare (फ्री सॉफ्टवेर कहा से डाउनलोड करें )
Aaj jo mai software batane ja raha hu wo bohat hi famous software hai. jo acchi tarah se data recovery karta hai. is software ka naam hai "Recovery Wizard' ye aapko www.easeus,com par mil jayega. is site se aap ye software free me download kar sakte hai.  ise aap window oprating system me aasaani se install kar sakte ho, ye software sirf photos hi nahi balki sabhi prakar ki files ko recover karta hai. jaise email, audio video etc



toh Kaisi lagi apko ye post ab samay hai apka is post par Review dene ka
agar kuch bhi problem ho toh aap comment kar sakte ho. aur jyada se jyad ise share kare aur help karen

thank you