Hello dosto!!!

Dosto aaj ki post me hum aapko batane ja rahe hai. ki apne android phone ke istemal se english kaise seekhe. Vese agar dekha jaye toh play store me bahut se english sikhane wale apps mil jayege. lekin aaj mai aapko kuch aise best apps batane ja raha hu. jisse aap badi asani se english seekh skte hai. english speaking ke sath sath aapki writing me bhi kafi improvement hogi. aap asani se english likhna aur bolna seekh jayege.

Dosto jb se android phones hai. ab humse apne phone se kuch bhi badi hi asani se ghar baithe kar skte hai. chahe wo english ho ya aur kuch. agar ham kisi institute me english speaking ka course karege toh iske liye hume kafi time chahiye. kam se kam english speaking ka course 30 days chahiye aur iske sath sath apko fix timing me hi institute jana hoga.

lekin agar aap in apps ki help se english seekhte hai toh aap apni marzi ke malik hai. jab bhi aapke paas time ho tab aap aap in apps ko open kar english seekh skte hai. in apps ko aap kahi bhi kabhi bhi use kar skte hai. toh chaliye dosto suru karte hai aur jaante hai in 5 best apps ko.
Dosto maine apni pichli post me bataya tha. English Kaise Seekhe aur Bole. agar aapne abhi tak is post ko nahi read kiya hai to aap yaha par click kar ise padh skte hai.



5 Best Android Apps English Seekhne Ke


1. Hello English App

Dosto sabse best english sikhane wali app hello english hi hai. isme agar aap bilkul bhi english nahi aati hai. tab bhi aap easily english seekh skte hai. is app me aapko basic se high level ke chapters milte hai. isme aapko 8 languages milti hai. Hindi, Punjabi, Tamil, Marathi, Kannada, Urdu, Gujrati, Telugu agar inme se aapki koi ek language hai toh aap english badi easily seekh skte hai. 
is app me aapko bubble games, tea cutting games, voice chat jaise games milege. inhe khelte khelte aapko english bahut hi jyada behtar ho jayegi. Aap ise simply play store se install kar skte hai.



Laptop या Computer PC को कैसे Reset करें





2. Duolingo

Dosto is apps me aap english ke sath sath aur bhi kai language seekh skte hai. jaise ki french chines........etc
dosto is app ki khas baat ye hai. isme aap practice karne ke liye timing set kar skte hai. jab bi aapki timing aayegi aapko practice karne ke liye alert mil jayega. isme aap audio lession se bhi english seekh skte hai. isko use karne me aapko koi bhi ads show nahi hogi. jisse aapka kafi time bach jayega.

3. Hello Pal

Dosto isse jyada aapko koi bhi interesting app nahi milega. is app me aapko aisi aisi english sikhane ki tricks milegi. aur in tricks ko  aapne acche se follow kar liye to aapko pata bhi nahi chalega ki aap kab english seekh gaye. aap kuch days hi iska use karke english me baat karne lagege. kyuki hello pal sabse jyada mazedar aur easy hai. ise aap simply play store se apne phone me install kar skte hai.

4. Speak English

jab aap thodi bohat english seekh jaye tab aapko is app ka use karna chahiye kyuki ye app thoda proffesional tarike ki english sikhata hai. jaise ki agar aap job ke liye inteview dene ja rahe hai toh ye app apke liye best sabit ho skta hai. 



5 RS Me Banaye 3D Glasses ( How To Make 3D Glasses For Rs 5)





How To Buy JIO Sim Online Free Home Delivery


5. Rosetta Stone

ye aapko only local language me hi english sikhati hai. agar aap easy english seekh chuke hai toh aap easy english se proffesional english ko seeekh skte hai. kyuki ye aapko english se hi english sikhayega.


Dosto aaj ki post me maine aapko kuch best android apps bataye. ummed karta hu ye article aapko pasand aaya hoga. agar apko kuch bhi problem ho rahi ho to aap comments me hume bata skte hai.