Aaj ki post me ham janege ki Laptop ya fir Computer pc ko kaise reset karte hai. dosto abhi tak aapne apne mobile ya tablet ko jarur reset kiya hoga. lekin laptop ko reset nahi kiya hoga. agar aap laptop, computer ko reset karna chahte hai toh iski proccess me aapko aaj ki post me step by step duga ab aap badi aasani se laptop ya fir computer pc ko reset kar skte hai. Hame apne laptop ya fir pc ko reset karte rahna chahiye kyuki reset karne se hame bohat hi fayda hota hai. toh chaliye jaante hai ki laptop ko reset karne se kya fayde hote hai.



Laptop/Computer Ko Reset Karne Ke Fayde


ham koi bhi kaam karte hai toh uske fayde aur nuksaan jarur hote hai. toh aise me ham aapko laptop reset karne ke fayde bta rahe hai. toh dosto laptop reset karne me aapko fayda hi hoga nuksan bohat hi kam hoga toh chaliye jaante hai ki laptop ya computer reset karne ke kya fayde hai.


  • Laptop reset karne se aap bina window ko remove kiye laptop ko sabhi ki sabhi settings ko reset kar skte hai.
  • Agar aapke PC ya Laptop me Virus attack ho gaya hai aur virus remove nahi ho rahe hai toh aap bina window format kiya hue sabhi virus ko remove kar skte hai. 
  • agar aap pc ko processing slow ho gayi hai toh Settings Reset karne se Aapke Laptop ya PC kafi Fast ho jayega.
  • Agar Laptop bar bar hang karta hai toh aapke laptop ki performance increase ho jayegi.


Laptop या Computer PC को कैसे Reset करें 



Dosto Laptop ya PC ko reset karne ke liye aapke Computer me Windows 10 Install hona chahiye. agar aapke system me Windows 7 ya Windows 8 hai toh fir aap is trick ka use nahi kar skte hai. isliye aap Windows 10 wale system me hi ise use karein.

STEP-1 

Sabse Pahle aap Start Icon par click karein

STEP-2

Ab Settings Select karein aur "Update & Security" Option par click karein


STEP-3

Ab Aapko "Recovery" ka Option show hoga is option par click karein.

STEP-4 

Ab aap "Reset This PC" ke Neeche "GET Started" Option Show hoga. is option ko select karein


STEP-5 

Is Par Click karne ke baad 2 Option Show hoge. 
(a) Keep My Files {Only Settings Reset}
(b) Remove Everything {Full Laptop Reset}


STEP-6

Ab dobara se fir 2 Option show hoge.

(a) Just Remove My Files
(b) Remove Files Clean & Drive

Inme se aap koi 1 option select kar skte hai.

STEP-7

Ab " Next " par click karein

STEP-8

Ab Reset Par Click karein Kuch der wait karein iske baad aapka laptop fir se restart ho jayega.






Dosto ab aapka lapton reset ho chuka hai. agar aapko kuch problem ho rahi hai toh aap comments se hame bata skte hai. agar post pasand aaye toh share jarur karein.