Corruption ko rokne ke liye sarkar cashless economy me jyada jor de rahi hai. sarkar ne ek aitihasiki faisla liya tha jisme sarkar ne 500 aur 1000 ke purane noto ko band kar diya hai. aise me sarkar digital transaction me jyada jor de rahi. aur logo se yahi apeel kar rahi hai ki jyada se jyada payment ham credit card ya fir debit card se hi karein lekin india me har ek ke paas credit card aur debit card available nahi hai. isiliye sarkar ne ek nayi service suru ki hai. jiska naam hai MICRO ADHAR ATM. india me lagbhag 108 carore logo ke paas adhar card hai aur bank accounts bhi hai. toh aise me adhar atm ka use karke ham paise transfer fund transfer aur bhi bohat kuch kar skte hai. jiski jankari ham aapko aaj ki post me de rahe hai. isliye post ko end tak padhte rahiye is post me ham aapko batayege ki micro adhar atm kya hai aur iska use kaise karte hai.
Note bandi ke baad sarkar ne aur bhi servicesk ko launch kiya hai. jisse aap kisi ko payment badi asani se kar skte hai. agar aapke paas smartphone nahi hai ya fir aap kabhi kabhi aisi jagah me chale jate hai jaha par internet available nahi hai toh aap *99# ussd ka use kar kisi ko bhi paise aur fund transfer kar skte hai iski janakari maine apni pichli posts me di thi. ya fir agar aap paytm user hai toh aap paytm ka bhi istemal bina internet ke kar skte hai. toh dosto chalte hai apni post ki taraf.
Shayad dosto aapke man me yahi swal aa raha hoga ki adhar card se kaise paise transfer ho skt hai. toh aapka swal ek dum correct hai lekin ab ye suvidha available hai. aap adhar card se bi badi asani se payment kar skte hai. Dosto aapne swipe machines toh dekhi hi hogi isi tarah Micro Adhar ATM bhi hai. toh chaliye ab ham aapko btate hai ki iska use kaise karte hai.
Adhaar ATM Ke Fayde..
- Cash nikal skte hai
- fund transfer kar skte hai
- Account Balance Check kar skte hai.
- Cash jama kiya ja skta hai.
- More.........
Adhar atm Kaise Kaam Karta Hai..?
Dosto adhar Atm ko use karna bohat hi easy hai. adhar atm ko kaise use karte hai iski jankari ham aapko step by step de rahe hai isliye aap is steps ko carefuly padhe.
STEP-1 Sabse pahle apne Adhaar card ko apne bank account se link karna hoga
STEP-2 Ab aap apni paas ki bank me ja skte hai. agar aapko paise jama karne hai toh. isliye sabse pahle ye pta kar le ki bank me adhar atm hai ya fir nahi.
STEP-3 Ab aapko apna ADhar no bank karmchari ko dena hai iske baad aapko biomatric machine me apni finger ko scan karna hai.
STEP-4 Bas fir kya aapko jo bi karna ho wo aap kar skte hai. kisi ko paise bejne ho ya fir nikalne ho
toh dosto hai na kitna easy micro adhar atm ko use karna hai. i hope ki aapko ye post pasand aayi hogi. dosto aap is post ko apne dosto ke sath share karna na bhulen.
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे