Dosto aaj ham aapko kuch aise softwares ki jankari de rahe hai. jo aapke liye kafi use ful ho skte hai. aap hamesha ringtone create karne ya fir aur bhi audio songs banane ke liye internet par hamesha acche softwares search karte rahte hai. lekin hame free me koi bhi accha software nahi mil pata hai. toh aaj ham aapko kuch acche free softwares ki jankari dege jisse aap ek accha music bana skte hai.

Abhi tak aap audio banane ke liye websites ka use karte the lekin aaj hum apko 5 best softwares btayege jo ek dum free hoge aur isse aap acchi audio editing kar skte hai. agar aap ek radio jockey hai ya fir singer hai toh apko audio editing ki bohat jarurat padti hai toh in softwares ki help se aap kafi kaam easy ho jayega. in 5 softwares me se koi ek select karna apke liye mushkil hoga isliye ham apko sabhi softwares ki details dege fir aapko jaisi editing karni ho wo aap download kar skte hai.





Audio Editing Ke 5 Best Software's


Internet me aapko bohat se softwares mil jayege lekin sabhi softwares se hum acchi editing nahi kar skte hai. lekin jo wakai me acche softwares hai wo sabhi paid hai inko download karne ke liye hame kafi paise kharch karne pad skte hai. lekin ye softwares free hai aur acche bhi hai. inse ham paid softwares jaisi editing kar skte hai.

1- Virtual DJ
 Dosto Virtual dj ko maine no 1 par rakha hai. kyuki isse best koi bhi free software nahi hai. isme aap sabhi prakar ki editing kar skte hai. agar aapko ringtone banana ho ya fir mashup banana ho ya DJ song create karna ho. is software se aap sab kuch kar skte hai. iske sath sath aap isme thodi bohat video editing bhi kar skte hai. jaise Videos me effects dalne ho ya fir kai sare video mix karne ho ya videos cut karne ho ye sabhi cheeje aap virtual dj se kar skte hai. virtual dj se aap vocal remove badi easily kar skte hai. kyuki ye hame iska bhi feature available karta hai. 
Agar aap Kisi online radio me live show karna chahte hai toh aap iska pro version me upgrade kar skte hai. online broadcasting ka feature apko pro version me hi milega.




2- WavePad
WavePad NCH softwares company hai. ye jyada bada softwares toh nahi hai. lekin isse hum bohat si cheeje kar skte hai. jaise ringtone banana songs mix karna recordings karna . isme hum sabhi prakar ke audio formats me apna music bana skte hai. ye MP3 Wav Vox Gsm Ogg aur AAc ko support karta hai. ye only 2 mb ka software hai aur ise use karna bohat hi easy hai. wavpad me aap audio me effect dal skte hai. aur iske sath nch ki site se aap new new plugins apni jarurat ki hisab se install kar skte hai.

3- AudaCity
Proffesional audio editing ke liye ye software aapke liye accha sabit ho skta hai. ye only WAV aur MP3 formats ko support karta hai. isse aap acchi editing kar skte hai. isme aap badi easily audio ko cut paste kar skte hai. aur apne audio ke effective bana skte hai. ise aap free me download kar skte hai. 

4- Ardour
Isko khaskar musician aur enginiars ko dhyana me rakhkar bnaya gaya hai. isme aap sabhi format me audio bna skte hai. agar aap recording karna chahte hai toh aap apni voice record karte wqt background music bhi set kar skte hai. is software me aap external acceseries bhi jod skte hai. aur ek behtareen music bna skte hai. isme apko bohat se advance option milege jo normal softwares me nahi hote hai. lekin iske sabi features ko use karne ke liye aapko $1 pay karna pad skta hai.




5- Adobe Audition
Adobe audion me bi ek accha software hai. ye apko video editing ka bhi feature deta hai.  agar aap duniya me bohat se musician is software ka use kar accha music bnate hai. isse aap advertisement, interviews ya fir music track create kar skte hai. ye sabhi audio formats ko support karta hai.

Last Word For You
Dosto aaj maine apko audio editing ke 5 best softwares btaaye jinhe aap download kar badi easily se accha music bana skte hai. agar apko ye post pasand aayi ho toh apnedosto ke sath social media me share karna na bhule.