Aapne kai baar aisa kiya hoga. jisme aapke pas koi image hogi aur usme kuch likha hoga. aur wo aapko text me change karna pada hoga lekin text me change karne ke liye aapne manually ek ek word aapne type kiya hoga. aise me hamara kafi time waste hota hai. Lekin agar hame kuch aisi trick mil jaye jisse koi bhi images ya photos me kuch bhi likha aur wo bina type kare text me change ho jaye toh hame kafi accha mahsoos hoga aur ham kafi samay ko bhi bacha skte hai. toh aisi hi ek trick ham apke sath share kar rahe hai. bas aap post ko end tak padhte rahiye aur trick ko acche se samjhiye. 

Aapne kafi sari images dekhi hogi jisme poety shayri, story, quotes, and many more bohat si usefull cheeje likhi hoti hai. aur ise aap text me convert karne ke liye aap word ya fir notepad me apne hatho se type karte hai. lekin kuch log aise bhi hai jo ye jante hai ki image se text me convert kaise kare aur wo apna kafi samay waste hone se bacha lete hai. Internet par aapko na jane kitne tools mil jayege jisse aap Image to text convert kar skte hai. lekin jyadatar tools work nahi karte hai. aise me hamar samay aur barbaad ho jata hai aur fir hamko manually hi sab kuch type karna padta tha lekin aaj hm apko jo tools bta rahe hai. ye 100% working hai. isse aap badi easily se Convert kar skte hai.






Images Se Text Me Convert Karne Se Hame Kya Fayda Hoga

Images se text me convert karne me hame bohat fayda hai. agar aapke pas koi aisi images hai. jisme jyaada words likhe hai tab aap typing se bach skte hai. 

1. Aapko bohat sare page ki typing se bach skte hai.

2. Is Tools ko use karne ke liye aapko paise chukane ki jarurat nahi hai kyuki y bilkul free hai.

3. Aapke samay ki bachat hogi.

4. Aap Images text ko apni style me kar skte hai.


Images Ko Text/Word Me Kaise Convert Kare OCR Se

OCR tool ko use karna bohat easy hai. bas aap hamare bataye gaye steps ko acche se follow kare aur apne images ko text me convert kare.




  • Sabse pahle apko onlineocr.net par jaana hai.
  • Ab aapko languages select karna hai.
  • Aapko jis format me text file chahiye wo select kare. Agar aapko only text chahiye to text plain select kare
  • Ab convert me click kare
  • ab aapko neeche text mil jayega jise aap copy kar skte hai.

Toh dosto hai na image se text me convert karne ke bohat hi easy  trick. agar aapko ise use karne me kuch problem ho rahi ho toh aap comment karke hamse apni problem share kar skte hai.





Agar trick pasand aayi ho toh apne dosto ke sath share karna na bhoolen. jisse wo bhi is trick ko jan ske aur apna time bacha ske.