Dosto Aaj Ka Hmara topic hai. Ki computer ya laprop me kisi bhi websites ko kaise block kare. Dosto aaj mai 4-5 din baad post kar rha hu. Aur aapse sorry kahna chahta hu. Ki blog ke daily readers ko 4-5 din tak koi new trick padhne ko nahi mili. Toh aaj mai aapke liye fir ek new trick lekar aaya hu. Khaskar ye trick unke ke liye hai. Jinke ghar me bachche internet ka use jyada karte ho. Aaj kal jyadatar baccho ke social media me accounts hai aur social media ke jariye bacche galat websites me pahuch jate hai. I mean adults site me pahuch jate aur porn dekhne lagte hai. Aur apko unki ye harkat bilkul pasand ni aati hogi. Toh aaj aapke problem ke solutions yahi hai.
Aaj ham apko aisi trick btane ja rhe hai jisse aap koi bhi porn websites ko block badi asani se kar skte hai. Fir aapke bacche kabhi bhi aisi sites par nahi ja payege. Ji sites ko aap block karoge. Ye ek bohat chhoti si trick hai. Lekin bohat use full hai. Agar aap is trick ko seekhna chahte hai toh bas is post ko end tak padhiye aur bataye gaye sabi steps ko acchi tarike se follow kariyega.
Dosto maine apko apni pichli post me btaya tha ki agar aap snapchat ko use karna chahte hai. aur aapko snapchat ki puri jankari na hone ki vajah se aap snapchat nahi use kar pa rahe hai. toh apko ab pareshan hone ki jarurat nahi hai. maine apni pichli post me snapchat ki puri jankari di thi. is post ko padhkar aap snapchat badi asani se use kar skte hai. agar aapne abhi tak ye post nahi padhi hai toh aap is post ko bhi yaha se padh skte hai. toh chaliye aate hai apne topic par toh aaj ham baat kar rahe hai ki computer ya laptop me koi bhi websit ko kaise block kare.
- 2G Internet Data Me 3G Speed Kaise Paye
- Mcent Se Unlimted Reacharge Kaise Kare
- BlogSpot Blog Ka Backup Kaise Banaye
- Idea Me Free Internet Kaise Chalaye
Computer/Laptop Me Kisi Bhi Website Ko Kaise Block Kare
dosto aaj ki trick me aapko koi bhi software download karne ki jarurat nahi hai. aap bina software ke hi kisi bhi porn ya adult site ko block kar skte hai. toh mai apko iski jankari step by step de raha hu. toh aap in steps ko acchhe se follow kariye.Step-1 Sabse Pahle Start button par click kare aur Run type karke search kare iske baad run me aap c:\WINDOWS\SYSTEM32\DRIVERS\ETC\HOSTS type kare aur OK kare.
Step-2 OK karne ke baad apse pucha jayega ki file ko kis format me open karna hai. aap notepad par file ko open kare
- Google Seach Console Me Target Country Kaise Set kare
- Adsense RPM Ki Puri Jankari
- Blog Ke Liye Kaun Sa Domain Le Free Ya Paid
- Top Most High CPC Adsense Keywords
Step-3 Notepad me file me kuch information hogi. usme aap sabse neeche line me jaye. aur neeche diye gaye codes ko type kare
127.0.0.1 yourwebsite.com
127.0.0.1 yourwebsite.com
127.0.0.1 yourwebsite.com
Step-4 Ye code tpye karke file ko CTRL+S se save kare
Congratulation! ab aapki sites block ho chuki hai. uper jo code maine bataye the uske baad apko website ka url enter karna hai. aap jo bhi website ko block karna chahte hai. us website ka url aap yourwebsite.com ki jagah daal skte hai. yaha par maine apko jo trick batai uske liye aapko koi bhi software download ya purchase karne ki jarurat bhi nahi padegi. is aap simple se kuch steps follow karke sites ko block kar skte hai.
Last Word For You
Dosto hamari hamesha yahi kosis rahti hai. ki AHIH ke sabi readers ko hamesha usefull trick mil ske. i hope ki apko ye trick bhi kafi pasand ayi hogi. agar aapko really me ye trick pasand aayi ho toh 30 second ka time nikal kar apne dosto ke sath social media me bhi share kare jisse apke dosto ko bhi kuch help mil ske.
>Hamari Aur Bhi Post Padhe
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे