Agar ham kuch saal pahle ki baat kare tab ham apne computer me bhi screen record nahi kar pate the. lekin kuch hi saalo me technology itni advance ho gayi ki ab koi bhi kaam karna namumkin nahi hai. Pahle koi bhi aise applications nahi the jiski help se ham apne android screen ko record kar ske. lekin ab market me aise aise apps aa chuke hai jiske jariye ham apne android phone ki screen aaram se record kar skte hai. ham koi bhi apps ka tuturial video banakar youtube me upload kar skte hai.

Aaj kal android ek tarah ka computer hi ban gaya hai. kyuki jyadatar kaam ham apne smartphone se hi karte hai. computer ka use din pe din kam hota ja raha hai. aise me hame screen recorder apps ki kafi jarurat padti hai. toh dosto aaj ki post me mai apko 5 aise apps bataunga jisse aap apne android phone ki screen asani se record kar skte hai. vese agar dekha jaye toh internet me android phone ki screen record karne ke na jane kitne apps mil jayege. lekin sabhi apps acchi tarike se work nahi karte hai. agar karte bhi hai toh hame apne phone ko root karna padta hai. toh aaj mai apko kuch aise bhi apps bataunga jise aap nonrooted phone me bhi use kar skte hai.







Android Mobile Screen Recordings Ke Top 5 Applications 


mai post me bata raha hu android phone ki screen record karne ke top 5 apps. aap screen record karne ke sath sath aap games bhi record kar skte hai. aur bhi bohat se kaam kar skte ho. jo aap post me padhkar samjh jayege. in sab me khas baat ye hai ki ye apps aap free me download kar skte hai.

1- AZ Screen Recorder
AZ screen Recorder sabse accha screen recording app hai.isliye maine ise sabse uper rakha hai. apps devloper ne ise khas lolipop android phones ke liye design kiya hai. Is app me recording ke bohat se features hai. aap kai tarah se recording kar skte hai. Aap isme apne hisab se set kar skte hai ki apko kya record karna hai. lekin is app ko use karne ke liye apke camere ki quality acchi honi chahiye. tabhi ye app acchhe se work karega.
iske liye aapko phone root karna bhi jaruri nahi hai. ye nonrooted phone me bhi work karta hai. bas apke phone ka android version lolipop hona chahiye.

2- Telecine Apps
Aap play store me check kar skte hai. ki apps users ne ise rating me 5 stars diye hai. 5 stars se aap samj gaye hoge ki ye apps kitna best hai. android screen recording ke ye bhi no 1 apps hai. aap ise apne phone me install karke use kar skte hai. aur is apps ko download karne ka apko koi bhi charge nahi lagega ise aap free me install kar skte hai.
ise aap bina phone ko root kiye bhi use kar skte hai.

3- Unlimted Screen Recorder
unlimted screen recorder bhi ek most applications me se ek hai. iski bhi rating kafi high hai. ise use karne ke liye apke phone ka version lolipop hona chahiye. isme screen recording ke sath sath aur bhi kai kaam kar skte hai. isliye ise bhi aap use kar skte hai. ye bilkul free hai. ise aap play store se install kar skte hai.
phone root hona jaruri nahi hai.




4- Mobizen Screen Recorder
Mobizen se aap mobile ke sath sath computer me bhi use kar skte hai. agar aap ko games khelne ka shauk hai toh aap mobizen ka pc version download karke apne computer se mobile ko connect kar skte hai. jo aap apne mobile me karege whi apke computer me bhi dikhega. toh hai na kamal ka app. khaskar ye app games recording ke liye banaya gaya hai. isme aap high resolution me screen record kar skte hai. 
iske liye phone root hona jaruri nahi hai.

5- REC Screen Recorder

is apps se aap video record ke sath audio bhi record kar sakte hai. aap kuch bhi audio ke sath record kar skte hai. agar aap youtube me online video dekh rahe hai toh is apps se aap video dekhte dekhte record kar skte hai. isko use karne ke liye apke phone ka version jellybeen se kam nahi hona chahiye.
ye bina root kiye phone me bhi work karta hai.

ab waqt hai apke review dene ka ki ye post apko kaisi lagi. aap comment ke jariye hame bata skte hai. is post me maine apko android screen recording ke 5 badiya apps bataye. agar apko post pasand aayi ho toh apne dosto ke sath bhi share kare