Hello friends aaj mai life hack ki ek aur nai post lekar aaya hu. muje aasha hai apko ye post jarur pasand aayegi. toh aaj ham baat karenge ki interview ke liye apne aap ko kaise taiyar kare.
Interview hamare job ka ek bohat bada aham hissa hai. Aaj kal aapko bina interview ke kahi par bhi aapko job nahi milegi.  aapko interview dene ke liye apne aap ko ready rakhna hoga. Interview apni job me impression banane ka ek accha tarika hai. Isse aap ek good employ ban skte hai.
Toh jo log interview ke liye abhi taiyar nahi hai un logo ke liye ye post kafi acchi sabit ho skti hai. is post ko padh kar aap kafi had apne aap ko interview ke liye taiyar kar loge.
Aaj mai apko best interviw tips dene ja raha hu. Muje aasha hai ki aapko ye tips jarur pasand aayege.

Interview Ke Liye Apne Aap Ko Ready Karne Ke Liye Kuch Tips

interview ke liye kafi tips hai jo aaj mai apko batane ja raha hu aagar aapne sabhi tips ko sahi se follow kiya toh  aap kabhi bhi interview me fail nahi hoge

Interview Ke  Liye Apni Dress Aur Apne Aap Ko Mainten Kare
interview dene se pahle hame apni dress ko mainten karna chahiye. har ek company ki ek business casual dress hoti hai. pahle interview ke liye hame apne Look ko basic aur conservative rakhna chahiye. Agar aapke sath koi dost ho ya ristedar apke sath interview dene ja raha ho toh usse aap sikh skte ho. ya fir jis company me aap interview dene ja rahe hai usme koi friend ya janne wala koi insaan ho usse aap sikh skte hai.

  • Aap jab bhi interview dene jaye tab aap apne kapde clean aur pressed rakhe jisse apke interview me kafi impression hoga.
  • Aapke shoes me ek shine honi chahiye. interview me jane se pahle aap apne shoes ko acche se polic kare.
  • Interview me jane se pahle apke finger nails acche se saf hone chahiye.
  • Aap apna hair cut bilkul simple hi rakhe. 

aap in sabhi steps ka sahi se follow kare. toh aapka interview hamesha accha hi hoga

Agar ye post apko achhi lage toh apne dosto ke sath jarur share kare.