Jab hum blogging start karte hai. Toh hmare man me yahi sawal aata hai ki blog me per day kitne visiter aayenge. Aur blog me traffic kitna jaruri hai. Hum apne blog me traffic badane ke liye jane kya kya karte hai. Lekin blog ke traffic me jyada kuch fark nahi padta hai. Lekin hum sabse importent tricks ko andekha kar dete hai. Agar hum is trick ka use kare toh hum ek din me 10000 toh usse adhik visitors pa sakte hai.
Agar hum acche articals likhenge toh traffic apne aap hi badega. Mere hisab se traffic badane ka no 1 tarika yahi hai.
Aap jitni acchi post likhenge utne hi aapki site me visitors aana
karenge. Toh aaj mai apko kuch batein bataunga jisse aap apne blog ka traffic bada skte hai. Mujhe poora vishwas ki is trick se aapke blog me visitor jarur badenge.
Blog Me Top Articles Se Ek Din Me 10000 Visitors Kaise Paye
Aaj mai apko kuch steps bata raha hu. Agar aap ise sahi se follow karoge toh aapko visitors jarur milenge. Lekin uske liye batai gayi steps aapko sahi se follow krna jaruri hai.
Top Articles Likhe Kaise?
1- Top List Post Topic (Post Title)
Top list ka matlb toh aap samjte hi hoge ki jo word google me jyada search kiye jate ho.
1.Post ke title me No Ka Use Kare jaise Top 5 10 20 etc.
2. Post me aise keyword use kare jo serch engine me jyada search kiye jate ho jaise ki earn money online, top, most, etc
3. Apne post ke title me kya kyu kaise kare etc aise words ka use jyada kare.
4. Post ka title minimum 40 words ka hona chahiye aur 70 words se jyada na ho
5. Aap post ka title aisa select kare jo internet par jyada search kiya jata ho
Aap doosre bloggers ke title ko dekhkar samjh skte hai.
6. Aap post ka title aisa likhe ki jab bhi koi visiter use dekhe to use padna chahe.
7. Koi bhi festival ke time usse related post likhte rahe. Kyoki us time aise keywords jyada search kiye jate hai.
8. Post ke ander aap post se related hi jankari likhe isse search engine me ranking jyada badti hai.
9. Post me extra words jyada use na kare. Jarurat padne par hi use kare.
10. Post ke title me aap jitne famous words ka use kar sake utna kare.
In sabhi baato ka use aap agar apne post ke title me use karenge toh aapka title aapka serch engine me jyada result dega.
2) Top List Article Likhe
agar aap chahte hai ki aapki post google me sabse jyada result de. Toh aapko apni post me kam se kam 1000 words ka use kare. Kyoki aapki post me jitne jyada words honge utni hi aapki site show hogi. Words ke sath aap apni post me 3-5 image jarur use kare. Aap image aisi banaye jo post se related ho. Jisse visitors image dekhkar hi samjh jaye ki is post me kya hai. Ek baat ka vishes dhyan rakhe faltu ki images apne blog me use na kare jisse search engine me aapki post block ho jaye.
3) Share Post On Social Network
Post toh apne likh di. Ab sabse important kaam ye hota hai ki ise visitors tak pahuchya kaise jaye.post ko visitors tak pahuchana bohat hi aasan hai. Aap apni post ko facebook, Twitter, Google Plus, Reditt, Other Social Network site par share kar skte ho. Aap Apni Post Ko 6Pm-9Pm ke beech me share kare. Kyokoi is time 90% user social site par active rahte hai.
4) Complete SEO
aapko apne blog me search engine se traffic pane ke liye aapka blog SEO complet hona chahiye. Aap apne blog ko SEO friendly banakr accha traffic pa skte ho. SEO ke liye kuch points hai. Agar aap ise follow karoge toh traffic jarur badega
1. Apne blog me meta tag add kare.
2.Apne Blog ki sabhi posts ko search engine me submit kare
3. Webmaster me sitemap submit kare
4. Aapke blog ka template Seo aur mobile friendly hona chahiye.
5) Fast Loading Blog
Visitors fast loading websites par jyada aana pasand karte hai. Agar apke blog ke loading speed 80% se jyada hai to 25% visitors aapki site me jyada aayenge. Search engine bhi fast loading blogs ko jyada pasand karta hai.
Aap Chahe toh Gtmetix.com par apni site ki speed check kar sakte hai.
Agar aap in sabhi steps ko sahi se follow karoge toh muje vishwas hai ki aapki site me visitors jarur aayenge
Agar ye article aapko helpful lage toh aap ise jarur share kare
0 Comments
अपनी राय यहाँ पर दे