Jyadar hum internet ka use wifi se hi karte hai. Aksar hum apne password bhul jate hai. Bohat baar aisa hota hai ki hume apne mobile se net connect karna padta hai. Aur hmko password yaad nahi rhta hai. Aaj hum Isi Ke topic me baat karenge.  Ki Kaise Hum Apne Connected Wi-Fi Password ka pta chalaya jaye. Apne Computer/Laptop aur mobile me bhi.
Vese toh wifi ke password ko pta karna bohat hi aasan hai. Lekin aasan tab hoga jab hame iski process pta hogi. Toh aaj mai apko btaunga ki isko kaise use kare
Computer Me Connected Wi-Fi Ka Pta Kaise Kare?
Agar Kisi Bhi router se ya mobile se apke computer me wifi connected hai. Aur uska password aapko nahi pata hai. Toh aap CMD ke jariye iska pta aasani se kar skte hai. Toh ab samjhte hai Step by step
1- Aap Apne computer me start menu me jakar Search Kare CMD aur ab usko open kare
2- CMD open hone ke baad aapko ek command chalani hai.
netsh wlan show profile name=allhelpinhindi.com key=clear
3-Aap allhelpinhindi.com ki jagah apne wifi profile ka name replace kare
4- Itna karne ke baad aap Enter press kare
5- Ab aapke samne Connected Wifi Password Aa chuka hoga
Android Phone Me Wi-Fi Password Kaise Pta Kare
Jaise aapne apne computer me wifi passwords ka pta lgaya vaise aap apne mobile phone me bhi pta kar skte hai. Lekin iske liye hame Ek Application ki jarurat padegi. Lekin wo simple hai aap play store se aasani se download kar skte hai. Is app ka naam hai " Free Wifi Password Recovery" Ab hum aap ko btate hai ki ise use kaise kare.
1- Sabse Pahle Aap Software Download Karke Install Kare.
2- Ab Aap ise open kare ab apko isme sare password aasani se dikhai de jayege.
Note- Ye App only Rooted Android Phones Me Work karta hai iske liye aapko apna phone phle Root Karna Padega. Root Krne Ki Jankari mai phle se hi de chuka hu.