Dosto kya aap 3d animation effect videos create karna chahte hai. agar haan toh aap aaj ki post ko end tak padhte rahiye aaj ki post me ham aapko bta rahe hai ki apne android mobile se 3D animation effect video kaise banaye. Aaj ki post me mai aapko ek aise android app ke bare me btane ja raha hu. jisse aap badi asani 3D animation effect video bana skte hai. Abhi tak aapne 3D animation videos banaye hoge lekin iske liye aapne ya fir kisi website ka use kiya hoga ya fir koi paid softwares ka kyuki 3D animation videos ko free me banana bohat hi muskil hai. agar aap free me banana chahte bhi hai toh iske liye aapko animations ki Knowledge honi chahiye. lekin aaj ham aapko jo app batayenge usse aap bilkul free me video create kar skte hai chahte apko iski knowledge ho ya fir na ho.





Vese agar aapke paas ek acche performense ka computer ya fir laptop hai toh aap Sony Vegas, Camtasia,Adobe After Effect jaise softwares ka istemal kar skte hai. Lekin ye sabhi softwares paid hai inhe buy karne ke liye aapko kafi paise kharch karne pad skte hai aur sath me ek accha laptop ya fir PC chahiye. lekin iski koi jarurat nahi hai agar aapke paas ek android phone bhi hai to bhi aap ek accha animation video effect bana skte hai.

Dosto maine apni pichli post me btaya tha ki micro adhar atm kya hai toh dosto agar abhi tak aapne hamari is post ko nahi padha hai toh aap yaha par click kar ye post padh skte hai. is post me maine btaya hai ki micro adhar atm kya hai aur ise kaise use karte hai. isliye aap is post ko padhnaa na bhule.
Toh chalte hai aaj ki post ki taraf ki android phone se 3d animation videos kaise bnaye.


Android मोबाइल से 3D Animation Videos कैसे बनाये.


Dosto animation video banane ke liye bas aapko hamare bataye gaye kuch steps ko follow karna hoga bas fir kya aap badi asani se animation bana skte hai. lekin sabse pahle aap 3d animation video banane ka app download karna hoga. dosto is app ka naam hai FXGURU ise aap simply play store se apne phone me install kar skte hai toh dosto ab ham aapko batate hai ki FXGURU ka istemal kar videos kaise create karte hai.

STEP-1 Sabse pahle aap apne android phone me FXGURU app install karein

STEP-2 Ab aap FXGURU  app ko open kare aur yaha par aapko START ka option show hoga is par aap click karein

STEP-3 Start Button par click karne ke baad aapko kafi sare Efects show hoge jaise ki aap neeche ki pic me dekh skte hai. aapko jo bhi effect ke video create karne ho wo aap select kar skte hai.

STEP-4 Iske baad aapko Is effect ko download karna hai.


STEP-5 Ab start par click karne ke baad video recording start ho jayegi. aur recordings ke sath aapko effect model bhi show hoga jo effect ko aap download karege. aapko recordings is hisab se karni hai jaha pa aapko effect set karna ho.


STEP-6 jab recording complete ho jaye. tab aap video ko save kar skte hai. iske liye aapko 3 option milege mediam low high 3 quality me video save kr skte hai




Dosto 3D animation video banana bohat hi easy hai aap hamare btaye gaye steps ko acche se follow kar video bana skte hai. dosto agar aapko aaj ki post ki pasand aayi ho toh apne dosto ke sath share karna na bhulen.