E-Mail me log gmail ka use sabse jyada karte hai. aapke bohat sare personal mails gmail me save hoge. aise me aapke gmail account me jo mobile no pada hua hai agar wo sim card kahi kho jaye toh aapka account koi bhi hack kar skta hai ya fir apke email account se wo phone no ko change kar skta hai.Toh dosto aaj ki post me mai apko bataunga ki apne gmail ac ka no change karke use kaise safe kar skte hai. No change karne ki jankari mai apko simple steps me dunga bas aap steps ko sahi se follow kare.

Agar aap ek blogger hai aur aap google ki free blogging service ka use karte hai. toh aapko gmail ac ko safe karna bohat jaruri hai. aap is trick ko use karke apne account ka mobile no asani se change kar skte hai.





Gmail Account Ka Mobile No Change Kare Step By Step

gmail account ka mobile no change karna bohat hi asan hai. neeche mai apko steps ke jariye samjha raha hu. agar aapko change karne me kuch problem ho rahi ho toh aap hamari images ko dekh kar steps ko follow kar skte hai.





Step-1 
Sabse pahle aap google myaccount par jaye. aur personal info & privacy ko select kare.

Step-2 
Personal Info par click karne ke baad apko Phone option show hoga ab aap Phone option par jaye

Step-3 
Ab phone no ke samne ek edit ka chhota sa icon dikhega us par click kare. Ab aapko pasword confirm karne ko bola jayega so aap password ko enter karke confirm kar le. aur ek baar fir edit wale icon par click kare

Step-4 
Ab aapko jo bhi mobile no daalna ho wo update no par click karke daal skte hai.




fir kya ab aapka gmail mobile no change ho chuka hai. is trick ko aap asani se use kar skte hai. agar aapko ye post acchi sabit hui ho toh social media me apne dosto ke sath jarur share kare.