Dosto jio phone ki booking bohat hi jyada hui hai lakho logo ne jio phone ko book kiya hua. lekin ab jio phone ki booking close ho gayi hai. agar aapne bhi jio phone ko book kiya hai to fir is post ko akhiri tak read karte rhiye isme hum btayege jio phone ki delivery ko kaise check karte hai.


Vese company ne abhi tak ye announcement nahi ki hai ki phone ki delivery kb hogi lekin ye jarur kaha hai ki september me hi jio phone logo ko milna suru ho jayege. agar aapne jio phone order kiya hai aur apne phone ko track karna chahte hai to hamare bataye gaye steps ko follow karein 




Jio Phone Kab Deliver Hoga Kaise Check Karein...?

Jio phone ko kaise track karte hai iske mai aapko 3 method batane ja raha hu. aap koi bhi method ko use kar phone track kar skte hai.

1. Jio Website Se

www.jio.com par jakar bhi aap apne phone ko track kar skte hai. bas iske liye aap jio.com me jana hai aur sign in karna hai. sign in karne ke baad apni jio phone ke status ko dekh skte hai.

2. My Jio App Se

Agar aapke phone me my jio app nahi hai to sabse phle aap myjio app ko apne phone me install karein iske baad neeche diye gaye steps ko follow karein

  • My JIO App open karein
  • Ab Manage Bookings par click karein
  • Ab aap Wo phone no enter kare jisse aapne jio phone book kiya hai
  • Ab OTP verify karein
  • Ab My Voucher ka Page Show hoga isme aap status dekh skte hai.

3. Offline Status Check Karein Tollfree No Se

  • Sabse pahle 1800 890 8900 par call karna hoga
  • Ab IVR ke Instructions ko follow karein
  • Apko Jio phone Trasaction No Sms ke jariye mila hoga
  • No ko Enter karein
  • Ab aap apne phone ka status sun skte hai.

Dosto ummed karta hu ye post aapko pasand aayi hogi aur aap ise jarur share bhi karege.