Dosto aaj kal smartphone ek aam baat ho gayi hai. aapko sabhi ke paas smartphone dekhne ko mil jayega. vese smartphone ka bi ek apna hi maza hai. agar smartphone se internet ko hata diya jaye to ye fir hamare kisi bhi kaam ka nahi hai. isi internet ki vajah se hamara phone poora din charge hone ke liye laga rahta hai. aise me kai baar toh aisa hota hai ki hum night me phone use karke charging me laga dete hai aur fir hum so jaate hai aur phone hmara poori raat charge me lga rahta hai. aisi conditions me hmara phone kharab bhi ho jaata hai.

dosto aaj ki post me hum aapko aisi trick batane ja rahe hai. jisme ab aapka phone jaise hi full charge hoga vese hi aapke phone me alarm bajne lgega. dosto bohat hi jyada mazedar app hai. is app ki aaj mai aapko puri jankari dene wala hoon. isliye is post ko end tak jarur read karein aur hamare bataye gaye steps ko acche se follow karein.

Dosto maine apni pichli post me bataya tha. agar aapka budget hai low aur aap low budget me ek acche smartphone ko search kar rehe hai to fir is post aapko jarur padhna chahiye isme maine 5000 tak ke best 4G Volte phones ke baare me bataya tha. agar abhi tak aapne hamari is post ko read nahi kiya hai toh aap yaha par click karke is post ko read kar skte hai.

How To Use Full Battery Theft Alarm App in Hindi

Dosto heading padhkar to aap samj hi gaye hoge ki is app ka kya naam hai dosto is app ka naam hai Full Battery & Theft Alarm. ise aap simply play store se apne phone me install kar skte hai. to chaliye dosto ab seekhte hai is app ko kaise use karte hai.

1. Aap yaha se is app ko install kar skte hai. ya fir play store me search karein Full battery theft alarm. aur apne phone me is app ko download karein.

2. Install hone ke baad is app ko open karein jaise hi aap ise open karege isme aapko apni battery dekhne ko milege isme aap battery percent check kar skte hai.

3. App me aapko Left Corner me 3 Lines dikhegi is par tap karein

4. Ab aap full battery option ko select karein






5. Ab Alarm ke liye apna battery percent ko select karein jitne percent me aap alarm chahte wo select karein.





Dosto ab phone jaise hi aapke select kiye hue percentage me pahuchega vese hi aapka phone  me alarm bajne lgega.

Dosto ummeed karta hoon ye post aapko pasand aayi hogi aur ise aap apne freinds ke sath bhi jarur share karege.