Jab true caller ki suruvat hui thi. tab ye behad hi simple features se less tha. lekin din pratidin true caller ek ke baad ek naye naye shaandar features ko launch karta ja raha hai. TrueCaller ne apni shuruvat caller id ke taur par ki thi lekin ab true caller bohat se smart features dekhne ko mil jayege jaise ki Spam Call block, Spam msg ko rokna aise bohat se naye  naye features ab ke truecaller app me dekhne ko mil jayege.

Pahle true caller bilkul simple app tha. tab bhi isko bohat jyada baar download kiya ja chuka tha. lekin ab true caller me kuch aise special features aa gye hai. jinhe aap bhi abhi tak nahi jaante hai. isi ki jaankari aaj mai is post me dene wala hu. toh chaliye dosto post ko shuru karte hai aur jaante hai true caller ke ye special features ko.

Dosto maine apni pichli post me bataya tha. agar aap youtube me videos upload karna chahte hai. aur aapke paas computer ya laptop nahi hai toh fir aap apne android phone ke istemal se hi acchi video editing karke videos ko upload kar skte hai aur monetize bhi kar skte hai. maine android phone me video editing karne ke kuch best apps ke bare me bataya tha. agar abhi tak aapne hamari is post ko read nahi kiya hai toh aap yaha se ise padh skte hai.


Know TrueCaller Special Features In Hindi : 


Flash Msg

Is feature ko use karne ke liye aapko apne purane app ko update karna hoga. dosto is feature ki help se aap old type kiye hue msg ko instant send kar skte hai. agar aapko jald se jald msg ko send karna hai toh aapke liye true caller ka ye naya feature helpful sabit ho skta hai. iske sath sath aap apni location ke alawal emoji bhi badi asani se kisi bhi person ko send kar skte hai.




Smart Call History & Inbuilt Dialer

Dosto smart call history feature bhi kamaal ka hai. smart call history me aapko mobile no ke real ke naam aur images ko show karta hai. jisse aap asani se pata lga skte hai ki jis person ne call ki hai wo real me kaun hai.




Inbuilt dialer ki madad se aap kisi ko bhi call kar skte hai. lekin ye kewal true caller app me hi work karta hai.

TrueCaller Payment Service 

True caller app me aap asani se apna Virtual Payment Address create kar skte hai. Is virtual payment address ka use UPI ki tarah kiya ja skta hai. agar aapka bank UPI service ko support karta hai. toh fir ab sabhi payments true calle app ke jariye hi kar skte hai. jaise ki kisi ko paise bhejna, dish recharge karna data card recharge, mobile prepaid postpaid recharge, bill payment matlb aap paytm  ya fir other mobile wallet ki tarah hi iska use kar skte hai.
TrueCaller ne iski sajhedari ICICI bank ke sath ki hui hai 

Last Word For You

Dosto aaj ki post me maine aapko true caller ke kuch latest smart features ke baare me bataya shayad jo abhi tak aapko pata nahi hoge. true caller ke in smart features ko use karke aap bhi kafi smart ban skte hai. in smart features se aapko kuch na kuch help jarur hi milegi.
Dosto ummed karta hu ye post aapko pasand aayi hogi., agar pasand aayi ho toh ise apne dosto ke sath share karna na bhulein