Dosto aaj ke post me ham aapko 5 aise Android app bata rhe hai. jisse aap kahi bhi kabhi bhi video chat kar skte hai. agar aap Android user hai to fir in apps ko aapko apne phone me jarur install karna chahiye. dosto aaj jo apps hum aapko bta rhe hai wo sabse popular apps me se ek hai. Jinhe sabse jyada baar download kiya ja chuka hai. 

Agar aap play store me search krte hai free video calling app to aapko.acche apps bohat hi kam milege jyadatar aapko.faaltu apps hi milege. jo kaam ke nahi hote hai. In apps ko use karne ke liye aapko ek bhi paisa kharch krne ki jarurat nahi hai. in apps ko aap bilkul free me istemal kar skte hai. toh aaiye ab jaante hai 5 Best Video Chat Android Apps In Hindi




Dosto maine apni pichli post me btaya tha. agar aapke paas Android phone hai toh OTG cable ka naam toh suna hi hoga. agar aap OTG Cable ka baare poori jankari nahi hai toh aap yaha par click karke Iski Jankari Paa skte hai.

toh chaliye jaante hai 5 best android apps for video chat




5 Best Android Apps For Video Chat - Learn In Hindi


1. Skype

Dosto sabse best android app skype hai. skype first aisa aisa app hai jo hame video chat service provide karta hai. skype ke jariye ham world me kisi se bi video chat kar skte hai wo bhi bilkul free me. Skype app ki rating aap play store se check kar skte hai. skype app se ham video chat ke alawa audio call bhi kar skte hai. lekin iske liye aapko skype ka pro plan lena hoga.Skype Microsoft Company ka app hai. Isliye isme aapko advance feature bhi dekhne ko mil jayege.

2. Whatsapp

Dosto whatsapp me video chat ki service abhi abhi hi suru hui hai. lekin whatsapp ki ye service kamal ki hai. Whatsapp ki ye service bikul free hai. whatsapp ka sabse accha features me se ek hai. whatsapp video me chat me ye khas baat hai. agar aapke paas slow internet connection hai tab bhi aap isse acchi quality me video chat kar skte hai.

3. Viber

Viber me aap video chat ke sath sath voice calling bhi kar skte hai. isko aap android phone ke sath sath apne computer me bhi ise use kar skte hai. iska pc version bhi available hai. jaise aap mobile me use karte hai vaise hi aap is pc me bhi istemal kar skte hai.

4. Line

Line app kuch saalo pahle launch hua tha. lekin ab is waqt line ke users kuch kam ho gaye hai. lekin line app bhi best app me se ek hai. line apps se hum chatting voice calling aur video chat kar skte hai. iske sath sath line me aapko bahut se aise features mil jayege jo aapko kafi pasand aane wale hai. jaise ki walki talke etc.ise aap simply play store se apne phone me install kar skte hai.




5. WeChat

Kuch time pahle line aur wechat no 1 apps the. lekin jab se whatsapp me video chat ka feature aaya hai. tab se inko use karna logo ne kam kar diya hai. lekin abhi bhi is app ki rating kafi high. ise bhi aap download karke use kar skte hai.

Conclusion

Dosto aaj ki post me maine aapko android phone se video chat karne ke kuch apps bataye jinhe usek karke aap kisi se bhi video chat kar skte hai. umeed karta hoon ki ye post aapko pasand aayi hogi aur aap ise apne dosto ke sath bhi share karege.