Dosto Summer me smart phone me overheating ki problem start ho jati hai.  ye problem Redmi ya samsung j series me aisi problems hame jyada dekhne ko mil rahi hai. to dosto aaj ki post me ham aapko batayege ki smartphone ko over heating se kaise bachaye. vese ye problem jyadatar garmiyon me hi hoti hai. khaskar May aur June me. toh iske liye ham aapko best solution dege.


Dosto Android phone ke battery heating se bachane ke liye aaj ki post me ham aapko 5 tips btayege jo bohat hi powerful tips hai. jisse aap apne phone ko garm hone se bacha skte hai. toh chaliye dosto jaante hai ye tips.

Kai baar phone charge krte smay bhi garm hone lgta hai. jab bhi ham phone ko charge krte hai aur jab phone ko dekhte hai aur battery hame kafi garm milti hai to hm sochte hai ki phone me kuch problem hai ya fir battery me. toh kabhi ham kisi galt charge kar use kar lete hai tab bhi aisi problem ho jati hai.




Smartphone गर्म होने का कारण


Smart phone garm hone ke kai vajah ho skti hai. jo mai aapko neeche bta rha hu. 

1. High RAM wale games khelne se.
2. Faltu ke Apps Install Karne se.
3. Phone charge krte waqt phone use karne se.
4. Phone ki Capacity ke hisab se phone me jyada load rakhne se.
5. ETC




स्मार्ट फ़ोन को गर्म होने से बचाने के 5 टिप्स


Dosto yaha par mai aapko most popular 5 tips btane ja rha hu. jo bohat hi jyada useful hai. isse aap phone ki overheating ko 80% tak kam kar skte hai.



1. Unuseful App Unistall Karein


Dosto hamare android phone me bohat se aise apps hote hai. jinka use ham kabhi bhi nahi karte hai. aur kuch apps toh aise hote hai. jinhe hame pata bhi nahi chalta hai ki ye apps phone me kab aa gaye . mtlb ads ki problem se automatic hi hamare phone install ho jate hai. aur apps me show bhi nahi hote hai. aise apps ki vajah se bhi hamare phone garm hone lagta hai. kyuki ye apps high ram ke hote hai. toh sabse pahle aise apps ko hame phone se unistall karna chahiye. iske liye aap App Manager Me jakar aise apps ko unistall kar skte hai. 


2. Phone Ko Switch Off Karke Charge Karne Ki Kosis Karein


Aapko hamesha phone ko switch off karke hi phone ko charge karna chahiye. agar aap phone ko on karke bhi charge kar rahe hai toh jab tak aapka phone charging me laga hua hai. tab tak aap apne phone ke data ko off kar de. phone ko aisi jagah par charge karein jaha par jyada temprature na ho. mtlb aisi jagah pr jaha fan vegera chal raha ho.  
Must Read
Android Mobile Phone में Night Mode कैसे Activate करें
How To Book Reliance JIO Feature Phone Rs 999 In Hindi






3. Summer Me Brightness Ko Low Rakhe


Overheating se bachane ke liye aapko brightness ko bhi kam karke rakhna chahiye. jitna aap brightnes ko kam rakhege utna hi aapka phone kam garm hoga. agar ham full brightness kar dete hai. toh sabse pahle hamare phone ki screeen bohat garm ho jati hai. jyada brighness karne se phone ki battery teZi se kharch hone lagti hai. aur screen se sath sath battey bhi garm hona start ho jati hai. aur phone ke temprature kafi high ho jata hai aur overheating ki problem start ho jaati hai. 






4. Back Cover Ko Hatayein



Agar aapka phone jaldi jaldi garm ho raha hai. to aap apne phone ke backcover ya fir flip cover ko hata de. kuch phones me backcover ki vajah se bhi heat hona start ho jata hai. agar aap aisa karte hai toh aapka phone jald hi cool hone lagega. 



5. Phone ko Dhoop Se Door Rakhe



Phone ko hamesha dhoop se door rakhe. agar phone ko jyada der dhoop me rakha jaye th phone me over heating start ho jati hai. isliye cool jagah hi phone ka istemal kare


Conclusion

Dosto aaj ki post me maine kuch simple se steps aapko bataye. jinhe use karke aap apne phone ko garm hone se save kar skte hai. umeed karta hu ye post aapko pasand aayi hogi.agar pasand aaye toh ise share karna na bhulein.