"Personality Development" word aapne toh suna hi hoga. books me School me ya fir kisi teacher se. vese to market me iski bohat si books available hai jinme personality development ke bohat se tips diye jate hai. lekin aisi books me aapko tips kam bakwaas jyada milti hai. inse hame kuch fayda toh hota nahi balki time waste jyada hota hai. mai ye nahi kah raha ki sabhi books aisi hi hoti hai. lekin jyadatar books maine dekhi hai unme aisa hi hota hai. chalo dosto in sabse hame kya karna toh ab chalte hai aaj ki post ki taraf jisme mai aapko Top 5 Personality Development Tips bata raha hoon. agar aap in tips ko follow karege toh aapko kuch na kuch jarur fayda hoga. toh chaliye jaante ye tips. Top 5 Personality Development Tips - 5 पर्सनालिटी डेवलपमेंट टिप्स 
Top 5 Personality Development Tips

Time bahut tezi se chal raha hai. aise me modern yug ke sath sath hame isi ke anusar chalna hoga. aise me modern yug ke kuch naye taur tarike hote hai. isi ko hi personality development kahte hai. Aaj kal hame hard work karne ke sath sath smart banna bhi behad jaruri hai. kyuki agar ham smart nahi hue toh hard work bhi kabhi kabhi fail ho jata hai. toh aise me hame apne aap ko change karna hoga. aaj kal comptetion yug hai aise comptetion yug me व्यक्तित्व विकास hamare liye bohat hi jyada mayne rakhta hai. toh dosto aaj ki post me ham aapko व्यक्तित्व विकास  ke 5 tips btane ja rahe hai 



Top 5 Personality Development Tips - 5 पर्सनालिटी डेवलपमेंट टिप्स 




1. हमेशा शालीन और शांत रहे 


Sabse pahla tips yahi hai ki aap hamesha shaaleen aur shant rahe. bado ka adar karein chhoto ki bhi respect karein. agar kahi bhi jaye toh muskurakar abhivadan karein. chehre par aapke hamesha halki si muskaan rahni chahiye. agar aap aisa karte hai toh har koi aapki respect karega. aur jyada bevajah ki baat na karein. agar aap aisa karte hai toh lakhpati toh nahi ban jayege lekin aapke andar ek आत्मविश्वास ayega. 





2. थोडा बहुत मनोरंजन भी करें 


Thoda bohat manoranjan karna bhi jaruri hai. agar aap hamesha गम्भीर rahege to ye bhi व्यक्तित्व विकास  ke liye accha nahi hai. isliye jab bhi aap apne aap ko bor hota mahsoos kare toh logo ke sath time spend karein aur unka monoranjan karein unhe हंसाएं. seedha sabdo me kaha jaye toh jaisa mahol ho usi prakar hamesha taiyar rahe. aisa karne se aap logo ke दिलों me apni jagah bana payege aur log bhi apko chahne lgege. aisa karne se व्यक्तित्व विकास  me bhi bahut jyada fark padta hai.



3. नए लोगो से मिले और बातें करे 


व्यक्तित्व विकास  ke liye aapko hamesha naye logo se milte rahna chahiye. unse baat karna chahiye aur unke तौर तरीको ko dekhna chahiye i mean unke baat cheet ka tarika uthne baithne ka tarika unki kaise aadte hai kon si cheej me unki hobby hai. ye sab baate hame tabhi pata chalegi jab ham naye naye logo se milege. jab bhi naye logo se mile toh hamesha achchi baate hi karein. aisa karne se aapke व्यक्तित्व विकास  me सकारात्मक badlav avashya aayega.


4. अपनी पोशाख को जांचे 


Hame samay ke hisab se hi kapde pahnne chahiye. iske liye sabse pahle hame apni poshakh ko janchna chahiye. hame yahi kosish karni chahiye ki jyada se jyadar ham simple kapde hi pahne. व्यक्तित्व विकास  ke liye aapko colorful kapde achhe nahi rahege isliye sabse pahle hame apni posakh ko janchna hoga.






5. Body Language को ठीक करें 



Body language ko theek karna bhi bohat hi jaruri hai. matlab ki hamare uthne baithne, chalne, etc in sab ko theek karna chahiye. aap dusro ko dekhkar aisa kar skte hai. agar aap office imploy hai toh aap apne boss ko dekhkar aisa kar skte hai. ya fir personality development ki training le skte hai.


आखिरी शब्द 


Aaj ke article me maine personality devlopment (व्यक्तित्व विकास ) ke kuch tips diye. mai ummeed karta hu ki aap in tips ko jarur follow karege. agar aapko ye article accha lga ho toh ise apne dosto ke sath bhi jarur share keejiyega.