Dosto Aaj Ki Post me ham aapko bta rhe hai ki ek gmail account se kai sare youtube channel ko kaise banaye. Dosto agar aap youtube ka.istemal karte hai toh aap jante hi hoge ki youtube me agar koi bhi channel agar ek bar chal toh hame population ke sath acchi Kamai(Money Earning) bhi hoti hai. kuch logo ne mujse poocha ki kya ham ek hi gmail account se Multiple Youtube Channel create kr skte hai kya.? Agar kar skte hai toh fir kaise kar skte hai..? Dosto aaj ki post me mai aapko poori jankari duga aur btaunga ki youtube me ab ek nahi balki jitne chahe utne channel banaye. Channel Monetize kare aur Unlimited money earn karein.

Youtube hame multiple youtube channel banane ki azadi deta hai. ham kisi bhi categories ke channel ko bna skte hai aur videos upload kr skte hai. lekin multiple channel ke liye aapko videos bhi original upload karne hoge. aisa nahi hai ki aap multiple youtube channel bnakr dusro ki videos ko upload karne lge agar aap aisa karte hai toh aapka channel aur AdSense dono hi disable ho skta Hai. aur Adsense ki taraf se badi punishment bhi mil skti hai. isliye is baat ka dhyan rakhna behad hi jaruri hai ki agar aap multiple channel banane ja rhe hai toh Content bhi Original Upload Karein.




Ek hi id se youtube channel banane ke kafi fayde bhi hai. ek hi id se aapko channel manage krne me problem nahi hogi agar aap dusri id se channel se banate hai toh aapko bar bar login aur Logout krna hoga kai baar toh aisa hota hai ki ip ki vajah se hamare ek hi pc me 2 gmail account login hone me problem ho jati hai. Aur Adsense ka bhi rule hai ki aap only 1 Naam se 1 Adsense account use kr skte hai. isliye multiple channel me aap 1 AdSense se hi sare channels ko monetize kr skte hai.

How To Create Multiple Youtube Channel In Single Gmail Account In Hindi

Dosto Youtube Channel create karne se pahle aapko ye jan lena bohat hi jaruri ki Aap ek Gmail se Only 50 youtube channel hi bna skte hai. agar aapko isse jyada channels banane hai toh fir aapko new gmail id ka hi use krna pdega. Lekin 50 Channels hi bohat hote hai. aap 50 Youtube channels ko badi asani se ek hi account se use kar skte hai. Toh Chaliye Jante hai ki Youtube Multiple Channel Kaise Banayein.




Step-1:

Sabse pahle browser ko open karein Aur Apne youtube account me sign in karein.

Step-2:

Ab aapko Right Side me Creator Studio ka option Show hoga
yaha par aap Setting wale icon par click karein.


Step-3:

 Ab Aapko Create New Channel Ka Option Mil Jayega. 
Aapko Create New Channel Par Click Karna hai.


Step-4:

Ab Apne Channel Ka Name type Kare aapko jo bhi channel banana ho wo name yaha par type aur Create Button par click karein

Ab aapka channel create ho chuka hai. isi tarah aap ek gmail id se multiple channel create kar skte hai. dosto maine pahle hi bta diya tha ki aap 1 gmail id se maximum 50 channel hi create kar stke hai. 

Multiple channel create karne se liye ek baat aapko aur bta du. iske liye aapke gmail my account me aapka mobile no verify hona jaruri hai. agar aapka mobile no verify nahi hai toh aap multiple channel nahi create kar skte hai. 
Mobile no ko verify karne ke liye aapko apne google my account me jakar apne profile ke basic settings ko select karna hoga aur aap no ko verify kar kar skte hai.

Toh ab dosto aap samjh chuke hai ki ek gmail id se kai sare youtube channel kaise banate hai aur unlimted money kaise earn karte hai. Agar ye article aapko pasand aaya ho toh ise apne dosto ke sath share karke hamari madad kar skte hai. 
Toh ab jald hazir hoge ek naye article ke sath tab ke liye GOOD BYE.........

Hamari Aur Bhi Latest Tricks Padhna Na Bhulein