Dosto Whatsapp sbse popular messaging app hai. whatsapp kewal india me hi nahi balki other countries me hi sbse jyada use kiye jana wala app hai. jab whatsapp ki starting hui thi tab isme bilkul hi normal features the isse ham only chat hi kar skte hai lekin dheere dheere whatsapp ne voice call, video call, aur bhi bohat se naye features ki suruwat ki jise logo ne sbse jyada pasand kiya. toh aaj bhi whatsapp ne ek naye features ki suruwat ki hai jise mai aaj ki post me bta rha hu. Lekin is features ki abi testing iOS platform me ki ja rhi hai aur bohat jald hi ise official taur pr launch kiya jayega. toh dosto ab jante hai kon se hai ye features.


Abhi tak aapse agar galti se koi msg kisi group ya friend ko forward ho jata tha aur is msg ko aap send krna nhi chahte the toh aapko kafi.problem ho jati thi aur is msg ko aap wapas lena chahte the. lekin abi tak whatsapp hame aisa feature nahi deta tha lekin ab aapko tention lene ki jarurat nahi hai whatsapp aisa feature ki testing kr rha hai jisse aap galti se send kiye hue msg ko edit kar skte hai aur wapas bhi le skte hai. toh ab dosto jante hai ki Whatsapp ke is shaandar feature ka use kaise karein.

Maine apni pichli post me btaya tha agar aapke paas Computer nhi hai aur aap video edit karna chahte hai toh aap ye 5 Best Video Editing Android app istemal kr skte hai. Is Post ko padhne ke liye.Click karein






Whatsapp Ke Is Naye Feature Ka Use Kaise Karein


Is Features par bohat tezi se kaam chal rha hai. ye feature aapko iOS 2.17.1.869 version par milega. Whatsapp ke is feature ki update aapko bohat jald hi milne wali hai. haan tab tak aapko iske liye wait krna hoga. Lekin is feature se aap ab kisi ko bhi send kiye hue msg ko edit kar skte hai aur Wapas bhi le skte hai. Toh Dosto jaise hi is feature ki update aayegi mai vese hi aapko new article se aapko iski poori jankari duga. tab tak liye BYE

I hope ki aapko ye post pasand aayi hogi aap is post ko share kr skte hai aur Comment kr skte hai.