Hello dosto aaj ham aapko ek aisi jankari de rahe hai. jisse aap kisi bhi android app ka icon badi asani se change kar skte hai. agar aap android app ke icon dekh kar bor ho chuke hai toh is post ke jariye aap kisi bhi android app me apna manpasand icon set kar skte hai. I mean android app me custom icon set kr skte hai. Vese toh aapne icon change karne ki bohat se post padhi hogi aur sabhi post me yahi btaya jata hai ki icon change karne ki liye sabse pahle aapko apne phone ko root karna padega lekin aaj ham aapko aisi trick btayege jisme aapko phone ko root karne ki jarurat nahi hai 

Aap bina phone root kiye hi custom icon set kar skte hai. Iske liye aapko Lucky Patcher app ki bhi koi jrurat nahi hai. 

android custom icon change karne ke liye bas aapko simply ek play store se app download karna  hai bas fir kya aap badi asani se icon change kar skte hai. 






agar apke phone me Facebook app hai aur iska icon aap change karna chahte hai mtlb aap isme apni pic bhi set kar skte hai.  toh chahliye dosto chalte hai apni post ki tarf aur seekhte hai ise kaise use karte hai.


dosto maine apni pichli post me btaya tha agar aapke youtube channel me bohat kam subscriber hai aur aap apne subsriber ko increase karna chahte hai ya fir facebook fan page ya fir twitter me unlimted followers pana chahte hai toh aap hamari ye post padh skte hai. 




Kisi Bhi Android App Ka Icon Kaise Change Kare


Android app me custom icon change karna bohat hi easy hai iske liye liye mai aapko kuch steps btane ja raha hu. isliye sabhi steps ko carefully padhe aur acche se follow kare

STEP-1 Sabse Pahle aapko Play store se "Awesome Icon" App apne phone me Install karna hai

STEP-2 Ab aap Awesome Icon ko open kare open karne ke baad aapko wo sabi apps dikhai dege jo aapke phone installed hai.





STEP-3 Iske baad aapko 2 option show hoge ek camera aur ek image ka aap image wale option par click karke koi bhi pic select kar skte hai.

STEP-4 Ab aapko jis bhi android aap ka icon change karna hai use select kare

STEP-5 Bas ab aapka ICON change ho chuka hai.

Last Word For You





dosto android me custom icon set karna hai bohat hi easy hai bas aap hamare btaye gaye steps ko achhe se follow kare aur apna manpasand custom icon change kare

Mai ummed karta hu aapko ye post pasand aayi hogi agar aapko kuch problem hai toh aap comment kar muje bta skte hai.