Dosto agar aap apne computer se mobile me internet ka use karna chahte hai. Toh aaj ham apko ek simple si trick btayege jisse aap apne computer me wifi hotspots create kar skte hai. Ye trick khaskar un logo ke liye hai. Jinke pas wifi router nahi hai. Agar aap wire internet connection ka istemal karte hai toh aap apne computer me hotspot create kar apne mobile ya dusre computer me bhi internet connect kar skte hai.


Aaj ki post me mai apko aise 2 softwares btane ja rha hu. Jo apke pc me hotspots create karne me help karege.  Ab aap windows 7 me badi hi asani se wifi hotspot bana payege.
Aapko internet me bohat se hotspots wale software mil jayege lekin jyadatar software work nahi karte hai. Lekin aaj jo software's ham aapko btayege wo 100% working hai. Aur inhe aap easily use kar skte hai.





Dosto apko maine apni pichle post me btaya tha ki agar aap daily 20 rs earn karna chahte aur aap koi app bhi download karna chahte hai toh aap hamari ye post padh skte hai. Isme aap bina refer aur bina apps download kiye daily fix amount pa skte hai aur apne phone me Recharge kar skte hai.
Toh aaiye jante hai wi-fi hotspots create krne ke kon se software's hai.

Laptop Or PC Me Wi-Fi Hotspot Kaise Create Kare


Dosto ham hotspot create karne ke liye 2 software's ka use kar rhe hai. Aap is software's ki help se internet sharing kar skte hai. Toh ab jante hai ki in software's se kaise internet share kar skte hai.




1- mHotSpot

Dosto agar aap data card ya wire internet connection ka use karte hai aur aap internet sharing karna chahte hai toh aap aise hotspot software ko jarur search kar rahe hoge. aur apne kai softwares download bhi kiye hoge lekin jyadatar software work nahi karte hai. lekin mHotspot 100% working software hai. aap neeche di gayi links download kar skte hai.
dosto ise use karne ke liye sabse pahle aap apne computer ya laptop me mhotspot software ko install kare aur fir ise open kare ab aap isme password set kar skte hai. aap apne hisab se isme password set kare aur start button par click kare apka wifi hotspot ready hai ab testing ke liye aap apne mobile ya dusre computer me wifi ko open karke ise check  kar skte hai.







Dosto agar apko mhotspot nahi pasand hai toh aap connectify software ka use kar skte hai. ise khasakar windows 7 me use kiya jata hai. iska use aap apne home router ki range sahi karne ke liye bhi kiya jata hai. ye hotspot bohat jaldi start ho jata hai. so aap iska use wifi sharing ke liye kar skte hai





Dosto aaj maine apko bataye ki apne laptop ya pc me kaise wifi hotspot create kare agar aapko ye post pasand aayi ho apne dosto ke sath bhi is post ko jarur share kare