Agar blog ko SEO friendly banana hai toh apko blog me original content hone chahiye. agar aap blog me original content share karege toh aapka blog google me jyada dikhai dega. agar aap kisi content ko copy karte hai toh google apke blog ko ignore kar skta hai. Agar search engine se aapko high traffic mil raha hai toh search engine me apke site ya blog ki ranking bhi high hogi. lekin blog ke content ko SEO friendly banana koi asan bat nahi hai iske liye aapko apni post me high quality keywords ka use karna bohat jaruri hai agar aap keywords ka use sahi tarike se nahi karte hai toh aapke blog ke content google me jyada nahi dikhai dege.



Agar ham SEO friendly posts likhna chahte hai. toh sabse pahle hame ye pata hona bohat jaruri hai post me keywords kaise use kare. jisse ki hamara blog SEO friendly ban sake. Google aise content ko pahle index karta hai jinme keywords ka use sahi se kiya gaya ho. post me keywords ham isliye use karte hai ki google se ham high traffic pa ske. aap high traffic tabhi pa skte hai jab apko post me quality keywords mauzood hoge. toh iske liye ye jan lena behtar hoga ki keywords ka use kaise aur kaha kare. jisse ki hamara blog seo friendly ready ho jaye.







Seo friendly post likhne ke bohat se tarike hai. lekin aaj ki post me mai unhi tariko ko apko bataunga jo maine khud use kiye hai. jisse muje search engine se kafi traffic recieve hua hai. mai apne visiter ko vahi tarike batata hu jo ki use ful sabit ho ske.  aap is Method ko sahi se use karke search engine se high traffic pa skte ho.





Blog Post Me High Keywords Kaha Par Aur Kaise Add Kare
kai bloggers apni post me extra keywords ka use kyada karte hai. mai un sabhi bloggers se yahi kahna chahuga ki agar aap apni post me extra keywords ka use karoge toh aisa karne se aapko kuch bhi fayda nahi hoga. aap post se related keywords ka use hi kare. post se related keywords use karne se aap jyada visiter aur traffic pa skte ho. 

1. Post Title And Heading

Post ke title aur heading me aap high quality keywords ka use jarur kare. kyoki search engine aapki post ki heading par jyada dhyan deta hai. aisi condition me aapke post ke main keywords search engine ko pata chal jate hai aur aapke article ko jaldi index kar leta hai. 
Heading aur title me keywords use karne ka ek aur fayda hai agar aap high keywords heding aur title me use karogo aise me visiter bhi apse impress hoga. aur aapki post ko padhna pasand karega.


TOP 5 METHOD MAKE MONEY ONLINE (ONLINE PAISA KAMANE KE TOP 5 TARIKE)



2. Image & Title Tag

 blog post me aap aisi image ka use kare. jisse ki visiter image dekhkar hi puri post ko samaj jaye. aur post padhne ki kosis kare. hame apne blog ki post me kam se kam ek image ka use jarur karna chahiye. aap image aisi use kare jo post ke topic se related ho. extra images use karne ka koi fayada nahi hai. image aisi honi chahiye jisse ki visiter aasani se samaj jaye ki puri post me kiski jankari di gayi hai aur wo post ko padhna chahe. ek image lagbhag 2000 words ke aas pas hoti hai. isliye blog ki post me kam se kam ek image ka use jarur kar.

WordPress Blog Me Alexa Rank Widget Kaise Lagaye







3. Permalinks

permalinks basicaly aapke blog post ka ek url hota hai.  jo ki search engine me dikhai deta hai. aap permalinks me high keywords ka use karke apni website ko top ranking me la skte ho.
jaise aap post title aur heading me keywords ka use karte ho isi tarah se aap permalinks me high keywords ka use karke apni site ki ranking increase kar skte hai, ye sabse accha tarika hai apni website ke articles ko SEO friendly banane ka.
default permalinks se aap agar extra keywords remove kar de jaise ki, kya , kaha etc aisi condition me traffic aane ke jyada chances hote hai.

4. Category OR Lable

blog post me lable bohat jaruri hote hai. isse vister ko ye pata chal jata hai ki aapne kis category ki post likhi hai. kuch bloggrs toh aise hote hai wo lable ka use kabhi bhi nahi karte hai. agar aap lable ka use nahi karoge toh usse related posts bhi nahi dikhegi 


Adsense RPM Kya Hoti Hai ?Aur Adsense RPM Ko Increase Karne Ke Kuch Tips

agar koi visiter aapke blog me pahli bar aaya ho aur use related post bhi dikh jaye toh wo post s ko jarur padhega. isliye high traffic ke liye lable ka use karna bohat jaruri hai.

5. First & Last Paragraph


jab bhi aap blog ki post likho tab apko ye dhyan dena hai ki apke main keywords 4-5 lines ke beech me hone chahiye. 4-5 lines ke beech me aap apne high keywords add kare. jab post likh jaye tab aap last me wahi keywords add kare.




agar aap post ki starting aur last me main keywords add karoge. toh isse content SEO friendly hoga. aur isse jyada traffic bhi mil skta hai. aapko apne keywords ko jyada repeat nahi karna hai. agar aap 500 words ki post likhte hai toh aap keywords jyada se jyada 15-20bar hi repeate kare.

Last Word For You
aaj ki post me maine apko bataya ki high keywords kaha paur aur kaise use kare. i hope ki ye post aapke liye jarur use ful sabit hogi agar ye post apko acchi lagi ho to apne dosto ke sath share jarue kare.





Hamari Ye Posts Bhi Padhe


1. Blog Post Ko Copy Hone Se Kaise Bachaye