Abhi tak kewal 3G technology tak hi thi. Lekin ab 4G technology bhi launch ho gayi hai. 4G technology sabse behatar technology hai. Lekin aapko aur bhi sabhi technology ki knowledge honi chahiye. Toh aaiye jante hai sabhi technology ke bare me. Ki kya hai in sabhi technology ka Raaz.

1G, 2G, 3G, 4G, Kya Hai Hindi Me Help

#1G
2g 3g aur 4g ke pahle 1G technology thi. Jo pahle hamare yaha telephones hote the. Wo Technology 1G hi hai. 1G technology se hi telephone ka avishkar hua hai. 1G technology anolog signal par aadharit thi. Lekin is technology me kuch kamiya thi. Isme data speed bohat kam thi isme data ki speed 2.4 Kbps thi. Agar aapko 5 Mb ka song download karna hai. Toh usme aapko kafo waqt lag jata tha.

#2G
1G me jo kamiya thi usko door karne ke liye 2G technology dunia me aayi hai. Ye technology wireless phone's ki dusri generation hai. Isme aapko phone karne me pareshani nahi hoti hai. Aur isme phone calls ke sath sath internet ka bhi maza acche se utha skte hai. Abhi bhi india me lagbhag 75% log 2G technology ka hi use kar rahe hai. Isme data transfer ki speed 236kbps hai. Jisme aap internet surfing toh aaram se kar skte hai. Lekin  video call karne ke liye ye technology success nahi huyi hai.


center
">
#3G

2G technology me bhi kuch kamiya rah gayi hai. Iske baad 3G ki suruaat huyi hai. 3G ki data transfer ki speed 21Mbps hoti hai. Isi se video call ki dunia me dhamal mach gaya. Sabhi phones me front camera bhi aane lage. Jis camera se aap selfie lete ho wo camera 3G ki hi den hai. Iske sath sath mobile tv ke bhi kafi aaps market me gye jisse aap apne mobile me hi tv ka maza le skte hai. Lekin ye subidha 2G me nahi thi.

#4G
Abhi 3G technology ko acche tarike se india ke pas pahucha bhi nahi paye. Aur 4G technology start ho gayi. 4G technology 4th generation ki technology hai. Iski data transfer ki speed 100 Mbps se 1Gbps hai. Lekin india me itni speed nahi aati hai. Iska karan hai hamare network ka sahi na hona. Isme aap bina buffering ke video call kar skte ho online video dekh skte ho. Aur koi bhi file ko chutkiyo me download kar skte ho.

LAST WORD FOR YOU
aaj maine aapko sabhi technology ke bare me bataya. Jo india me pahle se mauzood thi aur apko inki jankari nahi thi.
Ab aapki bari hai apni ray dene ki. Ki aapko ye post kaisi lagi.