Aaj kal smartphone bohat jaldi chori ho jate hai. Agar chori nahi toh ham kahi par bhool jate hai. Aur fir hame apna phone kabhi bhi wapas nahi milta hai. Agar aap isi samsya se bahut pareshan hai. Toh mai aapke liye laya hu is samsya ka beahtar samadhan. Aapke phone me aapka personal data bhi ho skta hai. Toh ab tention mat leejiye aaj ki post me mai isi ke bare me baat karunga aur apko bataunga ki apne phone ko kaise control kare. Agar aap is process ko sahi se karenge toh jisne bhi aapka phone chori kiya hai uske liye matra ek khilauna bankar rah jayega. Toh aaiye seekhte hai. Kaise kare is process ko.

Phone Ko Control Kaise Kare

Phone ko control karne ke liye aapke phone me kuch features install hona jaruri hai. Agar aapke phone ye features nahi hai toh aap 3rd party ke apps ki bhi madad le sakte hai.

Phone Ko Control Karne Ki Process

1- Track My Phone
Track My Phone Features ki madad se aap apne phone ki location trace kar skte ho. Ye feature sabhi android phones me preinstalled hota hai. Iski feature ki ye khasiyat hai. Ki ye location bilkul sahi batata hai. Aur aapko pata chal jayega ki aapka phone kaha par hai. Iske liye apne android device manager ko on rakhna hoga. Kyoki ye feature hamesha on rahe agar kabhi band bhi ho gya ho toh aap ise fir se start kar le. Isme email id intriget hoti hai.


Kaise Kare Iska Istemal

Step-1 sabse pahle settings me jaye

Step-2  Ab Phone Security ko select kare.

Step-3 Ab Device Administratior Ko Select Kare

Step-4 Ab Android Ke Device Manager Ko ON Kar De.

Ab Aapke Phone me track my feature on ho gya hai. Ab Aapko kisi dusre smart phone se apna phone control kar sakte hai.



Kisi Doosre Phone Se Apna Phone Kaise Control Kare?
 Track My Feature Aap dusre phone se use kar sakte hai. Iske liye aap track my phone likhkar google par search kare. Apke samne iska option aa jayega. Ab aapko bas ek chhoti si app download karni hai. App download karne ke baad aapko us gmail id se login karna hai. Bas aapke samne phone ki location aa jayegi.

2- Chor Ko De Chetawani

Iske sath sath aap android device manager ko ko warning de skte hai. Aap chor ko msg kar skte ho ki wo aapka phone wapas mar de ya apna contact no bhi de skte ho. Jisse wo contact karke aapka phone aapko wapas kar de. Ya phir aap android device manager se lock wala option open karke phone me pasword set kar skte ho.

3- Delete Kare Personal Data

Agar in sabhi kosiso ke baad apka phone apko wapas na mile toh aap apna personal data delete kar skte hai. Jisse chor aapki personal jankari chura na sake.

Kaise Kare Personal Data Delete


Iske liye dusre phone me jisme aapne app install ki hai. Uske android device manager me jaye aur delete data ka option aapko show ho jayega. Ab aapko jo bhi data delete karna hai. Aap remotely tarike se delete kar skte hai


Last Word
Agar aap sari process sahi se karenge. Toh aapko koi bhi dikkat nahi hogi. Isse aap chor ka pata asani se laga skte hai. Agar aapko fir bhi dikkat ho rahi ho toh aap camment karke aap apna sawal pooch skte hai.

Agar ye article aapko wakai me accha laga ho toh plz jarur share kare. Aur aise hi aap hamari site par bane rahiye aur seekhte rahiye