World me cricket aisa khel hai. Jo sabse jyada popular hai. Popular hone ki ek vajah ye bhi hai ki Cricket bohat hi simple khel hai. Jo logo ko aasani se samajh me aa jata hai. Aur india jyadatar log Cricket hi khelte hai. Aur dekhte hai. Vese toh india ka national khel hockey hai. Lekin hockey me logo ko jyada interest nahi hai. Toh baat ho rahi thi Cricket ki toh apne topic par aate hai. Kya aapko pata hai ki Cricket me aaj kal
 kon si technology use ki jati hai. Agar nahi pata to aaj mai aapko top 5 technology btaunga jo Cricket me istemal ki jati hai.


Cricket Me Istemaal Hone Wali Technology

Cricket me india Australia Zimbabwe Pakistan jesi kai sari teams hai. Cricket ki duniya me har sawal ke jawab badlte rahte hai. Purane Rules ki jagah new rules aa gaye hai. Jinko aap abhi tak nhi jante hai. Kai baar kafi galtiya ho jati hai. Iske liye Cricket board aksar matches me nai nai technology ka use karte rahte hai.


1) Stamp Camera
Cricket ki pich se toh aap parchit hi hoge. Pich me jo lage stamps me jo beech ka stamp hota hai. Stamp ke peeche jameen me ek speekar bhi dabaya jata hai. Isi ki madad se run out hone par 3rd umpire decision krta hai . Jab ball stamp se takrati hai toh uska bhi pata chal jata hai. Isme jo speaker use kiya jata hai usi se pta chal jata hai ki batsman out hai ya not out.

Wifi Password Ka Kese Pta lgaye
Mcent Se Unlimited Reacharge Kaise Kare.

2) Snickometer
Ye voice record karne ka kaam karti hai. Jab bowler ball fenkta hai. Aur jab ball pich se takraker bat tak jati hai usme jitni bhi aawaje hoti hai. Wo un sabhi ko hame sunata hai. Jaise aapne T.V. me match dekhte waqt suna hoga. Jab ball bat ke bohat pass se gujrati hai tab is technology ka bohat fayda hota hai.

3) Hawk Eye
Hawk eye ki bhi bahut kaam hota hai. Isse LBW ka decision ka diya jata hai. Ki ball vastav me stump par lagi hai ya nahi. Isko karne ke liye 6 cameras lagaye jate hai. Jab bhi koi bowler ball fenkta hai. To ye sabhi cameras usko track karte hai. Tab decision sahi se milta hai

4) Pich Vision

Pich Vision bhi acchi technology hai. Isse ye pata chalta hai ki batsman ne kon si balls kha par kheli hai. Aur bowlers ne kaha kaha par ball ki hai. In sabki jankari pich vision se hi ki jati hai. Isse bowlers aur batsman dono ki galtiyo ka pta aasani se chal jata hai.

5) LED Stamp Bails

Aapne pich me stamps toh dekhe hi honge. Unme dono side wale stamps me lighting lagi hoti h. inki keemat kafi jyada hoti hai. Isliye ye sabhi matches me use nahi kiye jate hai. Inka use jaise wordcup ya koi special matches me hota hai. Inse ye pta chalta hai ki jab ball stamps se takrayegi toh inki light automatic jalne lagti hai.

Agar aapko Cricket ke shauk hai toh ye jankari apke liye bohat jaruri thi. Agar ye article helful lage toh plz aap ise share jarur kare